Heer – Ranjha!

Dil me rakhta hai tu heer
Aur ban jaata hai tu kyu raanjha
Tu khojta hai laakh usko
Par ullu ko na aata samajh.

Ki dil me Hi hai woh,
Woh tu dhoond raha jo Iss zamane me.
Woh tujhi me thaa,
Tujhi me tha.

Maloom hai sabko,
Ki kitni jhand hai zindagi,
Lekin darta kyu hai apna ye dil ?
Aakhir itna darta tu kyu hai

Jo raah pe darr basta hai,
Chunta hai tu wahi.
Sab usme magn base hai.
Darr me sab magn base hai.

Likh saake tu apni khud ki kahani.
Kisi aur ke kahani me tu putla kyu hai.
Darr ka putla rehta badi saavla.
Rang chadha tu banke utavla.

Rakhe dil me hai tu heer
Na bann raanjha.
Jise tu dhoond raha hai.
Woh tujhi me hai, tujhi me hai.